Saturday, November 7, 2009

Meri Talaash

Yeh meri talash ka jurm hai ,
ya meri wafa ka kasoor jo dil ke jetna kareeb hai ,
woh nazar se utna hi dur hai.!

khushbo

Har ik sawaal ka usko jawab kya dete
Hum apni zaat ka usko hisaab kiya dete
Jo ek lafz ki khushbo na rakh saka mehfooz
Hum us k haath mai poori kitaab kya dety.

Rishtey

Rishtey kaanch k bane hote hain,
Jo tutne par chubhte hain,
Hatheli par sambhal kar rakhna in ko,
Kyon k ye tutne mein Pal aur Jorne main barso lete hein,

Wednesday, November 4, 2009

Nai Manzalein

Tujhe zindagi ka shaoor tha tera kia bana
Tu khaamosh kion hai mujhe bata tera kia bana
Wo jo naseeb se teri jang thi meri bhi to thi
Main to kamiyab na ho saka tera kia bana
Nai manzalon ki talash thi so bichar gaye
Main bighar ke tujh se bhatak gaya tera kia bana
Main muqaable main shareek tha faqat is liye
Koi mujh se aa ke pochta bata tera kia bana
Mujhe ilm tha ke shikast mera naseeb hai
Tu umeid waar tha jeet ka tera kia bana ,,,!

Acha lagta hai

Na door rehna na paas hona
Wo aahton ka sunai dena ,,,
Aur mujh ko tera qayas hona ,,,
Acha lagta hai tujh se milna ,,,
Mujh ko tera labaas hona ,,,
Main akhon ankhon main sab kahonga
Tum kuch ishara shanaas hona ,,
Meri yaadon se batein karma ,,,
Jab kabhi tum UDAAS hona ,,!

Yaad e maazi

Yaad e maazi main jo ankhon ko saza di jaye
Is se behtar hai k har baat bhula di jaye
Jis se thori si bhi umein zayada ho kabhi
Aisi har shama sar e aam jala di jaye
Main ne apno ke rawayyon se mahsoos kia
Dil ke aangan main bhi deewar utha di jaye
Main ne yaaron ke bicharne se ye seekha “sheraz”
Apne dushman ko bhi jeene ki duaa di jaye ,,,

jaan-e-tamanna

Ek anjaan ko main jaan-e-tamanna samjhon
Sab kahein ghair hai per main usay apna samjhon
Lab na khul payein agar tu ho muqabil mere
Ye tere husn ka main ik karishma samjhon
Tere chehre ne mujhe daal dia mushkil main
Main tujhe chaand sa ya chaand ko tujh sa samjhon ,,,!

jaan-e-tamanna

Ek anjaan ko main jaan-e-tamanna samjhon
Sab kahein ghair hai per main usay apna samjhon
Lab na khul payein agar tu ho muqabil mere
Ye tere husn ka main ik karishma samjhon
Tere chehre ne mujhe daal dia mushkil main
Main tujhe chaand sa ya chaand ko tujh sa samjhon ,,,!

Zar-e-naqaab

Wo jo roop zer-e-naqaab tha
Usey dekhna mera khawab tha
Jo mila tha hijr ki shakal main
Meri chahato ka azaab tha
Ye sawal tha k mila karo
Na mila karo ye jawab tha
Jisay dekh kar main tarap utha
Teri aankh main wo hijaab tha
Meri paas thi meri tishnagi
Tee paas jaam e sharab tha
Tera piyar tha meri shaiyri
Tera ishq meri kitaab tha ,,,

Tuesday, November 3, 2009

Theek Hoon

qurbat ki teri piyas hai waise to theik hon
ek dard dil ke paas hai waise to theik hon
dekha jo chaand ko to koi yaad aa gaya
so dil mera udaas hai waise to theik hon
tu mujhe ko apni zaat se bahir nahe mila
ye dukh bhara qayas hai waise to theik hon
gar ho kuch umeed to ho jaun pur sakoon
ek be wajhe si aas hai waise to theik hon

Uski Yaad

apne dil ko sambhalo aur so jao
aansu ankhon main chupa lo aur so jao
kuch nahe milta ishq main sawaye is ke
gham ki barish main naha lo aur so jao
chor do ye raaton ko der tak jaagna
uski yaad dil se mita lo aur so jao
ishq main hamesha bewafai hi milti hai
ye bat zehan main bitha lo aur so jao ...